Archive for the ‘Romantic Poetry’ Category:
Dunya To Hai Eik Sayraab Is Ke Siwa Kuch Nahi
Zindagi Main Hai Dhoka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tamashaei Hai Yeh Dunya Is Ke Siwa Kuch Nahi
Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
Zindagi Hai Aik Khuwaab Is Ke Siwa Kuch Nahi
Khushiyan Hain Lakhon Is Dunya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main Is Ke Siwa Kuch Nahi
Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In k Dilon Main Hai Nafrat Ke Siwa Kuch Nahi
Waday Karte Hai Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
Bewafai Hey Is Dunya Main Is Ke Siwa Kuch Nahi
Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hey Dunya Ka Is Ke Siwa Kuch Nahi
Tum Ko Chaha Hey Magar Kuch Bhi Nahi Socha Ke
Dunya To Hai Eik Sayraab Is Ke Siwa Kuch Nahi
Kaisay kahoon
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey!
Tum Merey Ho
Baarish ki rim jhim boondon mein
Jab tum ko dhoond na paatii hoon
Mein tum ko sochti rehti hoon
Aur paagal si ho jaati hoon
Tum laakh jatan kar daalo par
Tum mujh ko bhool na pao gey
Tum merey naam se zinda ho
Mein tumhari kehlaati hoon
Taqdeer ne mara mujhe
Dil aavez nazron ke shooq teer ne mara mujhe
ye to ek nvahm hai ke shamshir ne mara mujhe
tamaam umr mai zamane ko ilzaam deta raha
sach to ye hai ke meri taqdeer ne mara mujhe
zamane ki be izzati seh kar bhi zinda tha
teri zubaan se nikalti tehqeer ne mara mujhe
jaam e zaher se mai kahan marne wala tha
alam to ye hai pyala e sheer ne mara mujhe
aahni bediyaan gar hoti to tod detaa ` `haseeb ` `
mere mehbub ki zulf e girahgeer ne mara mujhe
Chal Chlte Hain
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.
Matalab humara un sy
Matalab humara un sy kuch bhi zyda nahi
murta to hai hum py woh aur khabi jutata nahi
hum ny kub chaha jee jan sy woh chahy humein bhi
per woh to itna zalim hai dykh k bhi muskrata nahi
kerta to hai roshniyaon ki barish ka wada akser
filhaal to andhyry mein hath bhi barhata nahi
aye dil to hi yaqeen dilla us k ahed e wafa ka
jo hai sung zamany k aur hum sy nazr bhi millata nahi
Jab sawan may tanha bhego gay
Jab sawan may tanha bhego gay,
Jab aangan khali pao gay,
Jab sahil say takrati lehro may,
Apni tanhai may kho jao gay,
Jab raat k tanha daman may,
Tum chand ko aadha pao gay,
Jab khud sa batien kartay kartay,
Tum door kahin kho jao gay,
Jab dil ki baat chupany ko,
Hum say nazar tum churao gay,
Main tum say mohabbat karta hon,
Her bar ye sunna chaho gay,
In sab lamhon may jan lena k,
“Tum” tum nai, “Hum” banjao gay…..


